parinaam
Aj mane imtihaan diya h .
imtihaan jo deta h parinaam,
parinaam meri mehnat ka ,
parinaam mere sapno ka
parinaam mere apno ke vishwas ka,
parinaam mere bhawishya ke prakash ka,
parinaam haar ya jeet ka,
parinaam meri prit ka,
parinaam mere bite hue kal ka,
or parinaam mere sach ka.
mere man ke gahrai or
mastishk ki unchai me ye
sawal aaya,
kya hoga agar ye parinaam anurup na ho ?
na meri us lagan ke,
na us tapan ke?
kya ek parinaam mera bhavishya tay krega?
nai
parinaam wo nai h
to parinaam kya h?
parinaam h jo mujhe aina dikhaye,
parinaam h jo mujhe disha bataye,
parinaam h jo mujhe aage badne ki,uthkar ladne ki shakti de,
parinaam wo h jo mujhe sapno ki tapan me jalne ki shakti de,
parinaam par to sabka jivan tika h .
ram-ravan ka fark dikha h,
sant-sadhu ka udhar hua h.
to kya hua agar ek parinaam sahi nai h ,
aage badkar sach ka samna karne ka sahas dega parinaam mujhe.
to fir kyu daru m ,
apne dost parinaam se ,
imtihaan se,
aaj mane imtihaan diya h.
लेबल: मेरी कविता
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें
सदस्यता लें टिप्पणियाँ भेजें [Atom]
<< मुख्यपृष्ठ